Thursday, July 12, 2007


Tumko khone ka dar hai

Dost ho tum, meri dosti ki shaan ho,
Dosti se badh kar tum kuch ehsaas ho.
Mujhe kuch kehna to zaroor hai,
Magar tumko khone ka dar hai.

Kiye hain yun to kitne hi parwat fateh,
Par tumse kuch kehne me nakaam hain.
Baat aate aate kayi baar rahi zubaan par ruki hai,
Kyunki tumko khone ka dar hai.

Ek baar zindagi me pehle bhi hua tha kuch aisa,
Humne kuch kaha par manzar na tha aaj jaisa.
Aaj kuch baat hi alag hai,
Aaj tumko khone ka dar hai.

Saath raho tum hamesha yun hi,
To shayad kuch kehne ki zaroorat hi nahi.
Par yunhi saath rehne me kuch aur baaki hai
Abhi tumko khone ka dar hai.

Main shayad dil ko nahi samajh sakta,
Ye dil cheez hi alag hai.
Kya pata ye kyun chup hai,
Shayad tumko khone ka dar hai.

Dar ye bohot dino purana hai,
Dostana bhi purana ho chala hai.
Dil me dabi khwahish manzil me tabdeel ho gayi,
Bus tumko khone ka dar hai.

Kuch soch ke ek din maine kuch kaha,
Par fir bhi main pohonch na paya wahan.
Ek baar manzil se laut chuka hun,
Fir bhi tumko khone ka dar hai

Aage ye baat kahan tak jaye iska dar kahin zada hai,
Aakhir mujhe tumhara dostana bhi to nibhana hai.
Cheez apni ho to mera darna jayaz hai,
Kyun mujhe tumko khone ka dar hai.




Bhool Gaya Hun…


Kuch der ke liye is samundar me doob gaya tha
Ab is mohobbat ke khel se oob gaya hun
Kuch der ke liye khud ko bhool gaya tha
Ab Khud ki rooh ko dhoondh raha hun
Aisa nahi humne pyaar nahi kiya kabhi
Ek nahi sau baar kiya hai
Pagal kehte hain hume sabhi
Sabse poochta hun kya kisi ne kisi ko bematalab pyaar kiya hai
Khoob ki raatein kali,khoob likh li kavitayen
Khoob bahaye ashk bhi,khoob galiyan bhi sun li
Khoob kiye jhagde, khoob ho gayi pyaar ki baatein
Aashikon ki sari aadatein humne daal li
Sahi waqt par sambhal gaya,ishq ne mujhe behka diya tha
Kinare se girte girte bacha,neeche khai ka ant na tha
Bohot kuch baki hai is ke pehle karne ko ye maine socha nahi tha
Woh to shukar hai us haseena ka jisne mera dil toda tha
Sahi nahi tha tareeka uska
Shayad kismat ko yahi manzoor tha
Maine to kiya intezaar uska
Shayad uska door jana hi makool tha
Dil tod ke kab chale gaye
Is baat ka mujhe ilm na tha
Dil mera le ke kahin fenk diya
Khud ka dil anjaan ko saunp diya

Aisa nahi ki khush nahi main uske door jane se
Par dil ke kone me ab bhi yadein basera karti hain
Hansi ab bhi door hai labon se
Kya karun unke yaad karne se aaj bhi hichkiyan chalti hain
Chorr doon ya tod doon,ye dhaga itna mazboot kyun hai
Jis rishte ki buniyaad itni kamzor hai
Uska hume itna guroor kyun hai
Woh to bhool gayi hai sab kuch fir bhi mere sar pe fitoor kyun hai
Dil todne ke liye mashoor hoti hain ye hasinayen
Main kyun samajh ke bhi nasamajh bana hua hun
Aisi halat kar deti hain aashik ki, ki hasi pe bhi use hasi na aaye
Pata nahi kyun main fir bhi is bhawnwar me fasa hua hun
Chorr de mujhe zalim,jane de mujhe
Meri zindagi hai, jeene de mujhe
Teri kya dushmani hai mujhse
Bata de mujhe
Halat aisi kar di ishk-o-husn ne meri
Ki log kehte hain wah ramish kya dukhbhari kahani hai teri
Ab, har ghazal shuru karta hun wafaon se meri
Khatm khud hoti hai bewafayi pe teri....
Dosti huyi badnaam

apan saath, to huye badnaam
is rishte ko diya humne dosti ka naam
haathon me hota hai kabhi kabar jaam
aur jald hi ye baat ho gayi aam

mutthi bhar doston ki apni ye jamaat
dekhte hi milate hain ek dusre se haath
kabhi mazak me padti hai kissi ko laat
par hote hai ye sab pyaar ke saath

dost mujhe bhoolne ki koshish na karna
ab to padega hamesha mere saath hi rehna
mujhe dar lagta hai isliye pad raha hai kehna
zindagi bhar dost banke mushkil hai rehna

dosti par apni koi aanch na aaye
dost ke liye bhale hi jaan chali jaye
ladki sabki zindagi me do teen aaye
bus isi khwahish ke saath hum naye saal me jayen!!!!!!!

happy new year to all my friendz.......