Thursday, July 12, 2007


Tumko khone ka dar hai

Dost ho tum, meri dosti ki shaan ho,
Dosti se badh kar tum kuch ehsaas ho.
Mujhe kuch kehna to zaroor hai,
Magar tumko khone ka dar hai.

Kiye hain yun to kitne hi parwat fateh,
Par tumse kuch kehne me nakaam hain.
Baat aate aate kayi baar rahi zubaan par ruki hai,
Kyunki tumko khone ka dar hai.

Ek baar zindagi me pehle bhi hua tha kuch aisa,
Humne kuch kaha par manzar na tha aaj jaisa.
Aaj kuch baat hi alag hai,
Aaj tumko khone ka dar hai.

Saath raho tum hamesha yun hi,
To shayad kuch kehne ki zaroorat hi nahi.
Par yunhi saath rehne me kuch aur baaki hai
Abhi tumko khone ka dar hai.

Main shayad dil ko nahi samajh sakta,
Ye dil cheez hi alag hai.
Kya pata ye kyun chup hai,
Shayad tumko khone ka dar hai.

Dar ye bohot dino purana hai,
Dostana bhi purana ho chala hai.
Dil me dabi khwahish manzil me tabdeel ho gayi,
Bus tumko khone ka dar hai.

Kuch soch ke ek din maine kuch kaha,
Par fir bhi main pohonch na paya wahan.
Ek baar manzil se laut chuka hun,
Fir bhi tumko khone ka dar hai

Aage ye baat kahan tak jaye iska dar kahin zada hai,
Aakhir mujhe tumhara dostana bhi to nibhana hai.
Cheez apni ho to mera darna jayaz hai,
Kyun mujhe tumko khone ka dar hai.

No comments: