Thursday, July 12, 2007




Bhool Gaya Hun…


Kuch der ke liye is samundar me doob gaya tha
Ab is mohobbat ke khel se oob gaya hun
Kuch der ke liye khud ko bhool gaya tha
Ab Khud ki rooh ko dhoondh raha hun
Aisa nahi humne pyaar nahi kiya kabhi
Ek nahi sau baar kiya hai
Pagal kehte hain hume sabhi
Sabse poochta hun kya kisi ne kisi ko bematalab pyaar kiya hai
Khoob ki raatein kali,khoob likh li kavitayen
Khoob bahaye ashk bhi,khoob galiyan bhi sun li
Khoob kiye jhagde, khoob ho gayi pyaar ki baatein
Aashikon ki sari aadatein humne daal li
Sahi waqt par sambhal gaya,ishq ne mujhe behka diya tha
Kinare se girte girte bacha,neeche khai ka ant na tha
Bohot kuch baki hai is ke pehle karne ko ye maine socha nahi tha
Woh to shukar hai us haseena ka jisne mera dil toda tha
Sahi nahi tha tareeka uska
Shayad kismat ko yahi manzoor tha
Maine to kiya intezaar uska
Shayad uska door jana hi makool tha
Dil tod ke kab chale gaye
Is baat ka mujhe ilm na tha
Dil mera le ke kahin fenk diya
Khud ka dil anjaan ko saunp diya

Aisa nahi ki khush nahi main uske door jane se
Par dil ke kone me ab bhi yadein basera karti hain
Hansi ab bhi door hai labon se
Kya karun unke yaad karne se aaj bhi hichkiyan chalti hain
Chorr doon ya tod doon,ye dhaga itna mazboot kyun hai
Jis rishte ki buniyaad itni kamzor hai
Uska hume itna guroor kyun hai
Woh to bhool gayi hai sab kuch fir bhi mere sar pe fitoor kyun hai
Dil todne ke liye mashoor hoti hain ye hasinayen
Main kyun samajh ke bhi nasamajh bana hua hun
Aisi halat kar deti hain aashik ki, ki hasi pe bhi use hasi na aaye
Pata nahi kyun main fir bhi is bhawnwar me fasa hua hun
Chorr de mujhe zalim,jane de mujhe
Meri zindagi hai, jeene de mujhe
Teri kya dushmani hai mujhse
Bata de mujhe
Halat aisi kar di ishk-o-husn ne meri
Ki log kehte hain wah ramish kya dukhbhari kahani hai teri
Ab, har ghazal shuru karta hun wafaon se meri
Khatm khud hoti hai bewafayi pe teri....

No comments: